ALBUM - AZADI
Dil Nahin Lag Raha
Had se barne laga, Zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Us ne ehwaal poocha, To mein ne kaha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Sheh'r mein to mere, Jitne bhi yaar hain
Sab giraftar hain, Sab giraftar hain
Kis ko ma'aloom ho, Kaun ho kab reha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Mein bhi paaband hoon, Woh bhi paaband hai,
Raastein band hein, Raastein band hein,
Ab to mumkin nahin, He koi raabta,
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Had se barne laga, Zulm ka silsila
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Us ne ehwaal poocha, To mein ne kaha
Dil nahin lag raha, Dil nahin lag raha
Khudi
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai
Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
Tu shaheen hai, Tu shaheen hai, Tu shaheen hai
Tu shaheen hai, Tu shaheen hai Parvaz hai kam tera kam tera
Tere samne Aasman aur bhi hai
Tu shaheen he Basera kar Paharon ki chatano per
Tu shaheen hai tu Shaheen hai tu shaheen hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai
Kis nay Suna
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Koi yahan aapni zuban samjhe kahan
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Ghulami mai khush hai abhi Dosroon ki
Ke rahte hai jannat mai woh Ehmaqon ki
Ghulami mai khush hai abhi Dosroon ki
Ke rahte hai jannat mai woh Ehmaqon ki
Na hi rasta koi un ka na hi manzil
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Koi gum kahin hai koi gum kahin hai
Koi Soch bhi un ki aapni nahin hai
Na hi mustaqbal koi un ka na hi mazi
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Koi yahan aapni zuban samjhe kahan
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Ghulami mai khush hai abhi Dosroon ki
Ke rahte hai jannat mai woh Ehmaqon ki
Na hi rasta koi un ka na hi manzil
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna
Koi yahan aapni zuban samjhe kahan
Kaha jo unho ne wo sab ne suna
Jo hum ne kaha woh kis ne suna!
Kyun Pareshan hai tu
Kyun pareshan hai tu
Kyun pareshan hai tu
kei jahan aur bhi hen
kitne hasen aur bhi hen, aur bhi hen
Kyun pareshan hai tu
Tere Ishq men shor machae
Man charkha ghomta jae
Pas bulae, pas bulae
Kyun pareshan hai tu
Kyun pareshan hai tu
kei jahan aur bhi hen
kitne hasen aur bhi hen, aur bhi hen
Kyun pareshan hai tu
Koi tujh bin aanso bahae,aanso bahae
Kisi karwat so nahin pae
Pas bulae, pas bulae
Kyun pareshan hai tu
Kyun pareshan hai tu
kei jahan aur bhi hen
kitne hasen aur bhi hen, aur bhi hen
Kyun pareshan hai tu
Tu hi apna log parae, log parae
Koi kab se aas lagae
Pas bulae, pas bulae
Kyun pareshan hai tu
Kyun pareshan hai tu
kei jahan aur bhi hen
kitne hasen aur bhi hen, aur bhi hen
Kyun pareshan hai tu
Lal Meri Pat
Ho lal meri pat
Rakhyo bala jhoolay lalan o lal meri
Ho lal meri pat
Rakhyo bala jhoolay lalan sindhri da sevan da Sakhi Shahbaz Qalandar
Dama dam mast qalandar
Ali da pehla number
Dama dam mast qalandar
Sakhi Shahbaz Qalandar
Ho lal meri...hooo lal meri
Char charagh teray balan hamesha
Char charagh teray balan hamesha
Panjvan balan ayo bala jhoolay lalan
Panjvan balan
Panjvan balan ayo bala jhoolay lalan
Sindhri da sevan da sakhi Shahbaz Qalandar
Dama dam mast qalandar
Ali da pehla number
Dama dam mast qalandar
Sakhi Shahbaz Qalandar
Ho lal meri...hooo lal meri
Uncha roza peera tera
Uncha roza peera tera
Hait wagay daray ao bala jhoolay lalan
Hait wagay
Hait wagay daray ao bala jhoolay lalan
Sindhri da sevan da sakhi Shahbaz Qalandar
Dama dam mast qalandar
Ali da pehla number
Dama dam mast qalandar
Sakhi Shahbaz Qalandar
Ho lal meri...hooo lal meri
Loshay
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Loshay Loshay ta'abad
Balle Balle ta'abad
Jeevay jeevay ta'abad
Shad'ma yeh ta'abad
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Rasta jo amn ka hai
Dhoond lein hum assaray naun
Rasta jo amn ka hai
Dhoond lein hum assaray naun
Asseray naun, assaray naun
Ja ne ja ja na ne na
Loshay loshay ta'abad
Balle balle ta'abad
Jeevay jeevay ta'abad
Shad'ma yeh ta'abad
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Aik naee manzil nazar mein
Dil mein taza walwalah ho
Aik naee manzil nazar mein
Dil mein taza walwalah ho
Walwalah ho walwalah ho
Ja ne ja ja na ne ja
Walwalah ho walwalah ho
Ja ne ja ja na ne ja
Loshay loshay ta'abad
Balle balle ta'abad
Jeevay jeevay ta'abad
Shad'ma yeh ta'abad
Loshay loshay ta'abad
Balle balle ta'abad
Jeevay jeevay ta'abad
Shad'ma yeh ta'abad
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Dil hai mera mulk tera
Ja ne ja ja na ne ja
Meri Awaz Suno
Meri awaz suno mujhe azad karo
Meri awaz suno insaf do
Azad karo Insaf do
Karon kyun ghulami teri
Ghulami teri kyun zalaman
Meri awaz suno mujhe azad karo
Meri awaz suno insaf do
Azad karo Insaf do
Mangon na Khudai teri
Mangon mein to haq zalama
Meri awaz suno mujhe azad karo
Meri awaz suno insaf do
Azad karo Insaf do
Tere sang zamana sara
Khuda he mere sang zalama
Meri awaz suno mujhe azad karo
Meri awaz suno insaf do
Azad karo Insaf do
Mahiwal
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mera Bhag Jaga.
Marne se tao mein na daron
Kese Chanab ko par karon
Mera yar bhi tu mera piyar bhi tu
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mera Bhag Jaga.
Lahron mein hai jan meri
Sadyon se hai piyas teri
Damsaz bhi tu dildar bhi tu
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mera Bhag Jaga.
Dob Chali mein Dob chali
Iis Jeney se Maot bahali
Iis par bhi tu Uos par bhi tu
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mahiwal mere Lajpal mere mujhe par laga
Mera Bhag Jaga
Muk Gaye Nay
Muk gaye nay
Charkhay de gairay
Mukee na judaee yaar dee
Lag gaye nay roag hoay nay
Sajna de baajo main rondi rahi
Pori koi vee na gatti gaee
Baithee udeekan main tallee paee
Meray shareekaan de naal o phire
Utray tarakla galay che meray
Maran ae chadd kay main ote siray
Aleph
Ilmon bas karein o yaar!
Iko aleph teray darkaar
Ilm na aavay vich shumaar
Jaandi umar nahin aitebar
Iko aleph teray darkaar
Ilmon bas karein o yaar
Parh parh likh likh laavein dhair
Dhair kitaaban chaar chapair
Girday chanan vich anair
Pichon rah te khabar na sar
Ilmon bas karein o yaar
Parh parh nafal namaaz guzaari
Uchiaan baangaan changaan maareen
Mimbar te charh awaaz pukaari
Keeta tenon ilm khwaar
Ilmon bas karein o yaar
Iko aleph teray darkaar
Iko aleph teray darkaar
Sayonee
Sayoonee, Sayoonee
Chen ik pal Nahin. Aur koi hal Nahin
Sayoonee, Sayoonee
Chen ik pal Nahin. Aur koi hal Nahin
Sayoonee, Sayoonee
Kon morae muhar. kon morae muhar
Koi Sanval nahin
Sayoonee, Sayoonee
Chen ik pal nahin. Aur koi hal nahin
Sayoonee, Sayoonee
Kia Bashar ki Bisat, Kia Bashar ki Bisat
Aaj he kal nahin
Sayoonee, Sayoonee
Chen ik pal nahin. Aur koi hal nahin
Sayoonee, Sayoonee
Chor Meri Khata, Chor Meri Khata
Tu, to pagal nahin
Sayoonee Sayoonee
Chen ik pal nahin. Aur koi hal nahin
Sayoonee, Sayoonee
Wahda Hu
Tu, tu hi tu, tu hi tu
Tu, tu hi tu, tu hi tu
Meri nas nas mein tu
Mere ang rang mein tu
Wahda Hu, Wahda Hu, La Sharika La Hu,
Wahda Hu, Wahda Hu, La Sharika La Hu,
Meri jaan hai tu, Iman hai tu
Mera deen hai tu, Quran..... hai tu
Aghaaz bhi tu, Aakhir bhi tu
Ghaib bhi tu, Zahir bhi tu
Meri jaan hai tu, Iman hai tu
Mera deen hai tu, Quran......
Tu, tu hi tu, tu hi tu,
Tu, tu hi tu, tu hi tu
Meri nas nas mein tu
Mere rang rang mein tu
Wahda Hu, Wahda Hu, La Sharika La Hu,
Wahda Hu, Wahda Hu, La Sharika La Hu,
Wahda Hu, Wahda Hu, La Sharika La Hu,
La Sharika La Hu...
Yaar Bina
Yar bina dil mera nahin lagta
Piyar bina dil mera nahin lagta
Nahin lagta, nahin lagta
Yar bina dil mera nahin lagta
Piyar bina dil mera nahin lagta
Kuch mujhe yar ki judai mar gai
Kuch mujhe gher ki khudai mar gai
Khudai margai,judai mar gai
Yar bina dil mera nahin lagta
Piyar bina dil mera nahin lagta
Ho gai zindagi Parai yar ki
Kese aab men doon dhuai yar ki
Dhuai yar ki, dhuai yar ki
Yar bina dil mera nahin lagta
Piyar bina dil mera nahin lagta